Zamane bhar ke kamon mein bohat masroof ho shayd Hamari yaad bhi ab to tumhain kam satati hai Hamara naam bhi aksar tumhain ab bhool jata hai Tumhari aankh ko ab to koi sapna nahi dikhta Tumhare dil ko bhi ab to koi chehra nahi jachta ...Tumhara naam lete thay jo har har saans ke hum'rah Jisey tum dil ki har dharkan ki tarah yaad rakhte thay Ussi ko bhool janey ka yehi matlab hua na phir Zamane bhar ke kamon mein bohat masroof ho shayd...
0 Comments