Be-khwaab zindagi ka Paristaar kaun tha, Itni udaas raat mein bedaar kaun tha. Kisko ye fikr thi K mohabbat mein kya hua, Hum is pe lad rahe thay… wafaadaar kaun tha. Sau kashtiyaan jalaa K Chale saahilon se hum, Ab tumko kya bataayen K us paar kaun tha. Ye faisla toh waqt b shaayad na kar sakay, Sach kaun bolta tha, Adakaar kaun tha. Arsa guzar gaya hai yahi sochte hue, Apna kahoon kisay, mera gham-khwaar kaun tha ????
0 Comments